Enter


Gurdas Maan "Sajna iss tann ne mukk jaana bhavein roz maalishaan kariye, Roti Haq dee khayiye g bhavein boot polishaan kariye"

My Current Time

Sunday, July 23, 2006

Poetry Beyond Age

Seena Gham Se Bojhal Ho Aur Yaad Kissi Ki Aati Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chhup ke Chhup ke Ro Lena

Jab Aankhein Bheegi Hon Jaayein Aur yaad Mein Meri Bhar Aaayen
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chhup ke Chhup ke Ro lena

Jab Palkein Karab Se Mondi Hon Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takiya Rakh Lena Aur Chhup ke chhup ke Ro Lena

Yeh Duniya Zaalim Duniya Hai, Yeh baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Saamne Chup Rehna Aur Chhupke chhupke Ro Lena

Jab Baarish Chehra Dho Daale Aur Ashk Bhi Boondein Lagti Hon
Who Lamha Har giz Mat Khona Aur Chhup ke Chhup ke Ro Lena

best part of this poem is that some lady named Bhawna replied by sayin

padh ke tere shabdo ko, yaadon mein tanhai ghir aayee...
yadon ko sanjotey hue..chupke chupke me ro aayee...

another one from bhawna....

gham-e-zindagi mein saath tera aisa hai
sooni raat mein chaand jaise chamaktaa hai

apni aankhon ko uthaa kar dekh to zaraa ek baar
iss jahan se uss jahan tak, ho jaenge hum paar

madhosh ho kar machal jaataa hun
soch kar tujhko apney khayaaalo mein

rukh pey tere nashaa yun hai,
nahi jo mey {sharaab} ke pyaalon mein

uthaa kar nakaab, ek deedaar phir sey karaa de
bujhti hui shamaa ko ek baar phir se jalaaa de...

another one

chupa kar laye thi jo tere liye..
chup kar jo aaye thi milne tujse...
khuli ankhon mein sanjoye hue..behisaab khoobsurat sapney bhi they...
ankahey shabdon mein liptey hue, mere kuch ehsaaas bhi they...
langh kar pathar ke darwazon ko..
tod kar na janey kitni bediyon ko...
hathon mein apney thaam ke..layee thi tere liye...
dil se apney.. kuch dhadkaney chura laayee thi..
tujhse jo mein pehli dafaa milne aayee thi...



any comments on these budding poets

0 reactions:

Your Search Results